mubtala ruh ke azab mein hun kab se dil ko khurach raha hai koi jaane kis subh ki tamanna mein raat-bhar shama san jala hai koi fursat-e-zindagi bahut kam hai aur bahut der aashna hai koi tum bhi sachche ho main bhi sachcha hun kab yahan jhut bolta hai koi