muhtaj ham-safar ki masafat na thi meri

muhtaj ham-safar ki masafat na thi meri
sab sath the kisi se rifaqat na thi meri

haq kis se mangta ki makinon ke sath sath
diwar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri

sach bol ke bhi dekh liya un ke samne
lekin unhen pasand sadaqat na thi meri

main jin pe mar mita tha wo kaghaz ke phul the
rasmi mukalme the mohabbat na thi meri

jo dusron ke dukh the wahi mere dukh bhi the
kuchh aisi mukhtalif bhi hikayat na thi meri

bas kuchh usul the jo ba-har-haal the aziz
jaanam kisi se warna adawat na thi meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close