mujh mein kisi ka aks na partaw khali aaina hun main mere tukde kaun samete ab tutun ya bikhrun main meri rasai meri hadon tak teri faza mein tu bhi qaid tu mujh tak aae to kyun-kar tujh tak kaise pahunchun main rukh pe jo tere shafaq khili hai khun hai mere khwabon ka kahe tu ai sham-e-tanhai tujh se lipat kar ro lun main duri ke ye lamhe badh kar kahin na sadiyan ban jaen tujh ko jab apne pas na paun jaane kya kya sochun main diwaron se sar takraun band darichon ke pichhe khuli faza mein aa niklun to mauj-e-hawa se uljhun main kaun sunega ye tulani qissa kis ko fursat hai jo kuchh mujh par bit rahi hai apne dil mein rakkhun main lafzon mein ehsas ki kaliyan khila raha hun ai 'makhmur' jaise koi mujh se kahta ho aa tere lab chumun main