mujhe sahl ho gain manzilen wo hawa ke ruKH bhi badal gae

mujhe sahl ho gain manzilen wo hawa ke rukh bhi badal gae
tera hath hath mein aa gaya ki charagh rah mein jal gae

wo lajae mere sawal par ki utha sake na jhuka ke sar
udi zulf chehre pe is tarah ki shabon ke raaz machal gae

wahi baat jo wo na kah sake mere sher-o-naghma mein aa gai
wahi lab na main jinhen chhu saka qadah-e-sharab mein dhal gae

wahi aastan hai wahi jabin wahi ashk hai wahi aastin
dil-e-zar tu bhi badal kahin ki jahan ke taur badal gae

tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ki shabab garmi-e-bazm hai
tujhe chashm-e-mast khabar bhi hai ki sab aabgine pighal gae

mere kaam aa gain aakhirash yahi kawishen yahi gardishen
badhin is qadar meri manzilen ki qadam ke khar nikal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close