mujhko dimagh-e-garmi-e-bazar hai kahan

mujh ko dimagh-e-garmi-e-bazar hai kahan
afsurdagi mein lazzat-e-guftar hai kahan

yaran-e-maslahat mein nahin jauhar-e-wafa
ahl-e-gharaz mein khubi-e-kirdar hai kahan

lakhon ki bhid mein bhi hun sab se alag-thalag
is shahr mein gharib ka gham-khwar hai kahan

jalwon ko bhi hai chashm-e-tamasha ki justuju
wo puchhte hain talib-e-didar hai kahan

kanton mein aa gai hai gul-e-tar ki tazgi
ab lutf-e-sair-e-wadi-e-pur-khar hai kahan

nakaamiyon ki dhup mein jalte hain dil-jale
sahra-e-gham mein saya-e-diwar hai kahan

shauq-e-husul-zar hai to zauq-e-sukhan na rakh
nur-e-sahar kahan hai shab-e-tar hai kahan

dilli ki bhid-bhad mein gum ho gaya hai dil
tanha bhatak raha hun dil-e-zar hai kahan

'talib' gham-e-hayat ne jina sikha diya
ab zindagi ka bar mujhe bar hai kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close