mujh se bichhad ke wo bhi pareshan tha bahut jis ki nazar mein kaam ye aasan tha bahut socha to be-khulus thin sab us ki qurbaten jis ke baghair ghar mera viran tha bahut be-khwab surkh aankhon ne sab kuchh bata diya kal raat dil mein dard ka tufan tha bahut ye kya kiya ki pyar ka izhaar kar diya main apni is shikast pe hairan tha bahut wahshat mein kyun kisi ke gareban ko dekhta mere liye to apna gareban tha bahut ab to koi tamanna hi 'baqi' nahin rahi ye shahr-e-arzu kabhi gunjaan tha bahut