mujhse muKHlis tha na waqif mere jazbaat se tha

mujh se mukhlis tha na waqif mere jazbaat se tha
us ka rishta to faqat apne mafadat se tha

ab jo bichhda hai to kya roen judai pe teri
yahi andesha hamein pahli mulaqat se tha

dil ke bujhne ka hawaon se gila kya karna
ye diya naza ke aalam mein to kal raat se tha

markaz-e-shahr mein rahne pe musir thi khilqat
aur main wabasta tere dil ke mazafat se tha

main kharabon ka makin aur talluq mera
tere nate kabhi khwabon ke mahallat se tha

lab-kushai pe khula us ke sukhan se iflas
kitna aarasta wo atlas-o-banat se tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close