murad-e-shikwa nahin lutf-e-guftugu ke siwa

murad-e-shikwa nahin lutf-e-guftugu ke siwa
bacha hai pairahan jaan mein kya rafu ke siwa

hawa chali thi har ek samt us ko pane ki
na kuchh bhi hath laga gard-e-justuju ke siwa

kisi ki yaad mujhe bar bar kyun aai
us ek phul mein kya shai thi rang-o-bu ke siwa

ubharta rahta hai is khak-e-dil pe naqsh koi
ab is nawah mein kuchh bhi nahin numu ke siwa

adhuri chhod ke taswir mar gaya wo 'zeb'
koi bhi rang mayassar na tha lahu ke siwa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close