musafir ke raste badalte rahe

musafir ke raste badalte rahe
muqaddar mein chalna tha chalte rahe

mere raston mein ujala raha
diye us ki aankhon mein jalte rahe

koi phul sa hath kandhe pe tha
mere panw shoalon pe jalte rahe

suna hai unhen bhi hawa lag gai
hawaon ke jo rukh badalte rahe

wo kya tha jise hum ne thukra diya
magar umr bhar hath malte rahe

mohabbat adawat wafa be-rukhi
kirae ke ghar the badalte rahe

lipat kar charaghon se wo so gae
jo phulon pe karwat badalte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close