musafiron ka yahan se guzar nahin hai kya

musafiron ka yahan se guzar nahin hai kya
tumhaare shahr mein koi shajar nahin hai kya

kisi bhi waqt nigahen ye pher sakta hai
tumhein zamane ki kuchh bhi khabar nahin hai kya

jo tira-bakhti ka katib mila to puchhungi
mere nasib mein koi sahar nahin hai kya

nikalte ho bahu ko jo ghar se nange sar
tumhaare zehn mein beti ka ghar nahin hai kya

khurach ke dekhungi hathon ki sab lakiron ko
wafa nibhane ka un mein hunar nahin hai kya

tum aaine se mukhatab ho aaj-kal 'bilqis'
tumhaare ghar mein koi bhi bashar nahin hai kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close