na harf-e-shauq na tarz-e-bayan se aati hai

na harf-e-shauq na tarz-e-bayan se aati hai
supurdagi ki sada jism-o-jaan se aati hai

koi sitara rag-o-pai mein hai samaya hua
mujhe khud apni khabar aasman se aati hai

kisi dukan se milti nahin hai garmi-e-shauq
ye aanch wo hai jo soz-e-nihan se aati hai

khula nahin hai wo mujh par kisi bhi pahlu se
nahin ki gunj abhi us ki han se aati hai

ajib shai hai nashat-e-yaqin ki daulat bhi
kisi wajud ke wahm-o-guman se aati hai

parinde sham dhale rah mein nahin rukte
koi nawed unhen aashiyan se aati hai

mithas gholta hai kaun mere lahje mein
mere sukhan mein halawat kahan se aati hai

gurez bhi kahin izhaar-e-arzu hi na ho
kashish ye kaisi badan ki kaman se aati hai

kisi hijab ki bandish ko manti hi nahin
jo mauj ruh ki ju-e-rawan se aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close