na hasil hua sabr-o-aram dil ka

na hasil hua sabr-o-aram dil ka
na nikla kabhi tum se kuchh kaam dil ka

mohabbat ka nashsha rahe kyun na har-dam
bhara hai mai-e-ishq se jam dil ka

phansaya to aankhon ne dam-e-bala mein
magar ishq mein ho gaya nam dil ka

hua khwab ruswa ye ishq-e-butan mein
khuda hi hai ab mere badnam dil ka

ye banki adaen ye tirchhi nigahen
yahi le gain sabr-o-aram dil ka

dhuan pahle uthta tha aaghaz tha wo
hua khak ab ye hai anjam dil ka

jab aaghaz-e-ulfat hi mein jal raha hai
to kya khak batlaun anjam dil ka

khuda ke liye pher do mujh ko sahab
jo sarkar mein kuchh na ho kaam dil ka

pas-e-marg un par khula haal-e-ulfat
gai le ke ruh apni paigham dil ka

tadapta hua yun na paya hamesha
kahun kya main aaghaz-o-anjam dil ka

dil us be-wafa ko jo dete ho 'akbar'
to kuchh soch lo pahle anjam dil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close