na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera

na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera
habab-e-mauja-e-raftar hai naqsh-e-qadam mera

mohabbat thi chaman se lekin ab ye be-dimaghi hai
ki mauj-e-bu-e-gul se nak mein aata hai dam mera

rah-e-khwabida thi gardan-kash-e-yak-dars-e-agahi
zamin ko saili-e-ustad hai naqsh-e-qadam mera

suragh-awara-e-arz-e-do-alam shor-e-mahshar hun
par-afshan hai ghubar aan su-e-sahra-e-adam mera

hawa-e-subh yak-alam gareban chaaki-e-gul hai
dahan-e-zakhm paida kar agar khata hai gham mera

na ho wahshat-kash-e-dars-e-sarab-e-satr-e-agahi
main gard-e-rah hun be-muddaa hai pech-o-kham mera

'asad' wahshat-parast-e-gosha-e-tanhai-e-dil hai
ba-rang-e-mauj-e-mai khamyaza-e-saghar hai ram mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close