na jaane jae kahan tak ye silsila dil ka

na jaane jae kahan tak ye silsila dil ka
wo mil bhi jae to milta nahin sila dil ka

baras rahi thin bahaaren taras rahi thi zamin
safar tamam hua phul kab khila dil ka

kahan hai wo shah-khubi kahan daricha-e-shab
gae wo din ki samaat mein tha gila dil ka

wahi kharabi-e-jaan ka sabab bhi hai lekin
qarar-e-jaan hai ki ye hai muamla dil ka

use fusun-gar o be-mehr main nahin kahta
firaq-e-yar ka bais hai fasla dil ka

talash usi ki musalsal usi ko pa kar bhi
zamin se ta-ba-falak hai ye mashghala dil ka

kisi tilism-e-hijabaat mein koi gham hai
bhatak raha hai khayalon mein qafila dil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close