na kaliyan muskuraati hain na phulon par nikhaar aae badi be-kaifiyon ke sath ayyam-e-bahaar aae koi qimat nahin aise wafa ke ahd-o-paiman ki mujhe jis par yaqin aae na un ko e'tibar aae jahan ke chappe chappe par guman hota tha manzil ka meri manzil mein aise marhale bhi be-shumar aae haqiqat us ke dil se puchhiye jazb-e-mohabbat ki samajh mein jis ke mafhum-e-nigah-e-sharmsar aae nizam-e-gulsitan zarf-e-tamanna se ibarat hai tere daman mein phul aae mere daman mein khar aae mariz-e-gham ke lab par nam un ka bar bar aaya phir us ke baad chaarasaz aae gham-gusar aae 'nasir' aaya tawaf-e-ku-e-jaanan ras kab dil ko tamanna-e-sukun le kar gae aur be-qarar aae