na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein

na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein
to wafaen meri hi pesh kar mere khun-e-dil ke jawaz mein

meri khak mein teri sans hai teri raushni mere pas hai
mujhe dil diya sanam-ashna mera sar jhuka hai namaz mein

kabhi khat ko tere chhupa liya kabhi ashk aae to pi liye
meri zindagi to guzar gai isi parda-dari-e-raaz mein

kisi ghaznawi ke nasib mein kahan wo uruj-e-niyaz tha
kai ghaznawi the jude hue isi ek libas-e-ayaz mein

hain tere siwa bhi bahut hasin mujhe to nazar se gira nahin
usi aasman ke sae mein usi khak-dan-e-majaz mein

na yun fakhr kar na yun sar utha ki ye sach hai 'khalid'-e-be-nawa
tu ye soch le tu ye jaan le ki nasheb bhi hain faraaz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close