na rahe tum jo hamare to sahaara na raha koi duniya-e-mohabbat mein hamara na raha ab koi aur zamane mein sahaara na raha jis ko kahte the hamara hai hamara na raha de diya hazrat-e-isa ne use saf jawab tere bimar ka ab koi sahaara na raha kya kahen haal zamane ka khulasa ye hai tum hamare na rahe koi hamara na raha kya kahun anjuman-e-naz ka haal ai 'bismil' sab ke charche rahe bas zikr tumhaara na raha