na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi

na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi
nigah-e-sham-e-sahar ke parde ye naqsha-e-anjuman hai baqi

zamana guzra wo yasman-bu juda hui ham-kanar ho kar
magar abhi tak hamare pahlu mein nikhat-e-yasman hai baqi

bhula chuki dil se sham-e-ghurbat har ek naqsha har ek surat
hamari aankhon mein lekin ab tak farogh-e-subh-e-watan hai baqi

zamana badla miti jawani na wo mohabbat na zindagani
bas ek bholi si yaad hai jo ba-rang-e-dagh-e-kuhan hai baqi

mita diye be-sutun charkh-e-kuhan ne shirin-laqa hazaron
magar mohabbat ke lab par ab bhi tarana-e-kohkan hai baqi

habab-asa muhit-e-hasti mein jo hai mitne ko ban raha hai
hai inqalab ek numud aisi jo zer-e-charkh-e-kuhan hai baqi

gham-e-zamana ki sakhtiyon se hui hai pamal tab-e-'akhtar'
na wo nishat-e-kuhan hai baqi na wo mazaq-e-sukhan hai baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close