na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya

na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya
dekh ke un ko ishaare se bulaya na gaya

sakht-tar sang se bhi dil hai unhon ka shayad
naqsh jis par kisi unwan bithaya na gaya

gulshan-e-khuld mein har-chand ki dil bahlaya
kucha-e-yar magar dil se bhulaya na gaya

shikan-e-zulf se dil saf nazar aata hai
is andhere mein tajjub hai chhupaya na gaya

dekh kar kal wo mera haal-e-pareshan 'arif'
aisa ghabrae ki aankhon ko churaya na gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close