na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye

na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
jahan hai tere liye tu nahin jahan ke liye
ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke
wo khar-o-khas ke liye hai ye nistan ke liye
maqam-e-parwarish-e-ah-o-lala hai ye chaman
na sair-e-gul ke liye hai na aashiyan ke liye
rahega rawi o nil o furaat mein kab tak
tera safina ki hai bahr-e-be-karan ke liye
nishan-e-rah dikhate the jo sitaron ko
taras gae hain kisi mard-e-rah-dan ke liye
nigah buland sukhan dil-nawaz jaan pur-soz
yahi hai rakht-e-safar mir-e-karwan ke liye
zara si baat thi andesha-e-ajam ne use
badha diya hai faqat zeb-e-dastan ke liye
mere gulu mein hai ek naghma jibrail-ashob
sambhaal kar jise rakkha hai la-makan ke liye
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close