na wo dard hai na wo ranj hai na hujum zulmat-e-sham hai

na wo dard hai na wo ranj hai na hujum zulmat-e-sham hai
mere khushk honton pe yak-ba-yak jo chamak utha tera nam hai

kabhi kahkashan se guzar gae kabhi bazm-e-gul mein utar gae
jo samajh gae to thahar gae tera dar hi apna maqam hai

mere gham hain kitne ajib se wo mila kahan hai nasib se
yahan qurb ki mujhe aarzu wahan dur hi se salam hai

jo chhupa ke pyason se main piyun jo kisi ke hath se chhin lun
to wo pyas mujh se gunah hai to wo jam mujh pe haram hai

suno sar-phiro mere hasido meri zindagi ka hai raaz kya
mera sar kahin bhi jhuke to kyun mera dil kisi ka ghulam hai

hamein thi khabar ye to peshtar ki hai aastin mein chhupi chhuri
mile phir gale yahi soch kar chalo lab pe is ke to ram hai

main wahi hun 'khalid'-na-rasa mujhe jaanta hai ye mai-kada
mera jam jam mein aks hai mera bund bund mein nam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close