na wo khushbu hai gulon mein na khalish kharon mein ek tere aate hi khak ud gai gulzaron mein chashm-o-abru-o-miza yar ki hain darpai jaan ek dil ghir gaya hai itne dil-azaron mein maraz-e-hijr se bachta nahin be-daru-e-wasl hai ye aazar bada ishq ke aazaron mein tujh ko zebinda hai kya sadgi aur rangini ek trahdar hai tu lakh tarah-daron mein phir gai meri nazar mein mizha-o-chashm teri dida-e-abla dekha jo ghira kharon mein be-gunahon ki hain abru-e-siyah tishna-khun nae jauhar nazar aae teri talwaron mein aashiq-e-khal-e-malih apna samajh kar bole ki hamare ye qadimi hain namak-khwaron mein nawak-e-ah ne paida ki rah-e-amad-o-raft saikdon ban gae dar yar ki diwaron mein yusuf-e-dil ko hasinon se siwa samjhe aziz pher deta ye dhindhora koi bazaron mein nam rakhne ki bhi uth jae use kaifiyyat dam-bhar aa baithe jo waiz koi mai-khwaron mein aamad-e-fasl-e-bahaari ka jo hangama hai ghul hai tauba-shikani ka tere mai-khwaron mein 'qalaq' itni nahin har waqt koi bach karta aap bhi hazrat-e-dil ke hain taraf-daron mein