nafas nafas mein hun ek bu-e-sad-gulab liye main jagta hun nigahon mein tere khwab liye hamare ahd ke logon ko kya hua yaro wo ji rahe hain magar ret ka sarab liye main bhul sakta nahin hasrat-e-nazar us ki wo ek shakhs jo guzra hai iztirab liye udas raat ki tarikiyon ne chheda hai ab aa bhi jao nigahon mein mahtab liye ye chilchilati hui dhup jal raha hai badan guzar rahi hai yunhi hasrat-e-sahab liye