nafas nafas zindagi ke ho kar ajal ki tashhir kar rahe hain ye kis jatan mein lage hain hum sab kise jahangir kar rahe hain kahan pata tha teri shafaq hi pas-e-ghubar-e-zawal hogi tujhi ko mismar kar diya tha teri hi tamir kar rahe hain rah-e-shahadat pe sar ke hamrah ek aaseb chal raha hai hamin na niklen yazid-e-dauran ki khud ko shabbir kar rahe hain sadaen deti hui khalaen kahin zaminon tak aa na jaen ye khwab-kari-e-pur-takalluf bara-e-tabir kar rahe hain agarche pahle yaqin kam tha par ab to tasdiq ho chuki hai na jaane radd-e-amal mein kyun hum mazid takhir kar rahe hain hamare sare gunah waiz maqala-e-iftitahiya hain abhi to hum nama-e-amal ka muqaddama tahrir kar rahe hain