nahin aasan kisi ke waste taKHmina mera

nahin aasan kisi ke waste takhmina mera
muqarrar hai dayar-e-ghaib se rozina mera

dam-e-rukhsat agar main hausle se kaam leta
palat kar dekh sakta tha use aaina mera

hadaf ban paengi aankhen na mere dushmanon ki
muqabil hai khadang-e-khwab ke ab sina mera

pada rahta hun kunj-e-afiyat mein sar chhupa kar
guzar jata hai yun hi sabt aur aadina mera

budhapa chha raha hai mere har jazbe pe lekin
jawan hota chala jata hai phir bhi kina mera

badal sakta tha mere shahr ka aahang 'sajid'
agar tartib pa sakta kabhi sazina mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close