nahin hai ashk se ye khun-e-nab aankhon mein bhara hai rang se tere shahab aankhon mein kahan nikal sake aansu nazar ko jae nahin rakha hun shakl ko teri main dab aankhon mein uluhi kis ki tajalli se ho gaya hun do-chaar jhamak raha hai sada mahtab aankhon mein hue hain jab se wo kaif-e-nigah ke aaina-dar bajae ashk bhari hai sharab aankhon mein amal se apni zaban kis tarah na ho be-kar jahan ho rasm sawal-o-jawab aankhon mein hua hun jab se main itlaq us ke se aagah jahan main dekhun hai wan bu-turab aankhon mein