nai sahar hai ye logo naya sawera hai tulua ho chuka suraj magar andhera hai khuda hi jaane ye dil kab khuda ka ghar hoga abhi to is mein butan-e-hawas ka dera hai abhi na de mujhe aawaz ai gham-e-jaanan abhi to shahr-e-wafa mein bada andhera hai na saeban na aangan na chhat na raushan-dan aur is pe sab se ladai ki ghar ye mera hai ye dar-o-gir ki duniya mein kahna mushkil hai ki kaun is mein luta kaun yan lutera hai ye sare jhagde hain bas ek do pahar ke liye ki nur-e-mehr na mera hai aur na tera hai wafa nisar ho us ki wafa-shanasi par hazar gardishon ke baad bhi jo mera hai