nala-e-garm ke aur dam sard bhare kya jien hum to mare

ham-safiran-e-chaman ra ki rasand khabre az man-e-nauha-gare

fasl-e-gul aai ye aur mein hun giraftar-e-qafas kuchh bhi chalta nahin bas
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand khabre az man-e-nauha-gare

phans gae dam mein sayyaad ke shayad bulbul roz sunta hun ye ghul
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand khabre az man-e-nauha-gare

main hun sayyaad hai aur shor-o-fughan-o-faryaad koi deta nahin dad
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand khabre az man-e-nauha-gare

bhul kar kunj-e-qafas tak kabhi aae na saba na sunana nala mera
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand khabre az man-e-nauha-gare

koi qatil main rahi 'mehr' se kitni hi shahid main hun aur qaid-e-shadid
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand khabre az man-e-nauha-gare

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close