naqsh sare KHak ke hain sab hunar miTTi ka hai

naqsh sare khak ke hain sab hunar mitti ka hai
is dayar-e-rang-o-bu mein bast-o-dar mitti ka hai

kuchh to apni gardanen kaj hain hawa ke zor se
aur kuchh apni tabiat mein asar mitti ka hai

chandni khandan hai apne hujra-e-mahtab par
aur main nazan hun is par mera ghar mitti ka hai

rahmaten barsa ke bhi abr-e-karam chhatta nahin
aise lagta hai ki saya charkh par mitti ka hai

khak se uthte nahin chalti hawa ke sath hum
ijz-e-khatir par bahut gahra asar mitti ka hai

ek namuna hai kisi ki sanat-e-timsal ka
ye jo khidki hai sada ki ye jo ghar mitti ka hai

kyun na khu-e-khak se khasta rahe meri ana
pa-ba-gil hun aur khamir-e-motabar mitti ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close