nashsha karne ka bahana ho gaya

nashsha karne ka bahana ho gaya
jab zara mausam suhana ho gaya

tujh se milna to kuja ai jaan-e-jaan
tujh ko dekhe ab zamana ho gaya

mud ke dekha jab bhi pichhe ki taraf
aaj dhundla kal fasana ho gaya

gulsitan-zade bahut hi shad hain
jab se zindan mein thikana ho gaya

jit haq ki zalimon ke waste
khun bahane ka bahana ho gaya

sach likhunga chahe mit jaun 'hanif'
jhut ab mera nishana ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close