nawah-e-dil mein ye meri misal jalte rahen

nawah-e-dil mein ye meri misal jalte rahen
khas-o-gulab nabaat-o-nihaal jalte rahen

kabhi na sard pade garmi-e-nashat-e-nafas
tamam paikar-e-fikr-o-khayal jalte rahen

ye jabr-e-waqt hai kaisa ki us ki yaad ke chand
ugen to phir sar-e-shakh-e-malal jalte rahen

hawa-e-hijr abhi tak hai mahw-e-khwab kahin
fasil-e-jaan pe charagh-e-visal jalte rahen

yunhi riwayat-e-tir-o-kaman rahe raushan
nuqush-e-wahshat-e-pa-e-ghazal jalte rahen

lage to qasr-e-shab-o-roz mein bhi aag lage
jalen to sadiyon talak mah-o-sal jalte rahen

hum us ki rah mein raushan kiye gae hain so 'ramz'
karen na us se koi arz-e-haal jalte rahen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close