nawah-e-shauq mein hai ek dayar-e-nikhat-e-gul

nawah-e-shauq mein hai ek dayar-e-nikhat-e-gul
zamin pe gul hain faza mein ghubar-e-nikhat-e-gul

ye shahr-e-gul-badnan sair-gah-e-husn-e-tamam
kahin hai nahr kahin aabshaar-e-nikhat-e-gul

nasim-e-subh bhi leti hai yan pe izn-e-khiram
hai ye maqam maqam-e-qarar-e-nikhat-e-gul

guman ye hai kahin diwar-e-rang tut na jae
hisar-e-rang pe hai wo fishaar-e-nikhat-e-gul

yahan ke murghan-e-khush-ilhan-o-mehr-e-zar-afshan
hain nur-o-naghma yahan ham-kanar-e-nikhat-o-gul

yahan ki qaus-e-quzah ko mila hai izn-e-dawam
bahaar-e-rang dalil-e-bahaar-e-nikhat-e-gul

ufuq pe nur ka dariya hai rang ki kashti
hai intizar mein kis ke nigar-e-nikhat-e-gul

kise khabar hai ki 'baqar' fida-e-husn-e-bahaar
yahin kahin hai gharib-e-dayar-e-nikhat-e-gul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close