naya saman hai naya ek jahan hai aur hum hain

naya saman hai naya ek jahan hai aur hum hain
nai zamin naya aasman hai aur hum hain

nae maqam nae marhale nai rahen
nae irade naya karwan hai aur hum hain

hamare naqsh-e-qadam hain ye mehr-o-mah-o-nujum
hamari rah sar-e-kahkashan hai aur hum hain

wo jis hayat pe thi marg-e-na-gahan tari
wahi hayat hai aur jawedan hai aur hum hain

gai wo qissa-e-ahd-e-kuhan ki baat gai
naya zamana nai dastan hai aur hum hain

hum apne sud-o-ziyan ke hain aap zimmedar
hamara sud hamara ziyan hai aur hum hain

wahi qafas jo kabhi aashiyan hamara tha
wahi qafas hai ki ab aashiyan hai aur hum hain

hue hain dair-o-haram se hamare kuchh paiman
hamare un ke khuda darmiyan hai aur hum hain

har ek rang ke phul us mein hain sharik-e-bahaar
hamara mushtarak ek gulistan hai aur hum hain

hamein bhi zehn-o-fikr apne badalne hain 'bismil'
nae khayal ka hindostan hai aur hum hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close