nazar bahaar na dekhe to be-qarar na ho

nazar bahaar na dekhe to be-qarar na ho
khizan sukun se guzre agar bahaar na ho

nigah-e-dil mein jo rangini-e-bahaar na ho
gunahgar-e-tamasha gunahgar na ho

fareb-e-nikhat-o-rang aagahi shikar na ho
karishma-kar-e-chaman mein agar bahaar na ho

khizan ke jaur-e-musalsal pe be-qarar na ho
bahaar dekh magar khugar-e-bahaar na ho

baja hai ghunche ka josh-e-numu se khil uthna
jo gul pe aai wo guzri hui bahaar na ho

mera shuur-e-bahaaran khizan pe ghash ho 'sahab'
agar wo naqs-e-bahaaran ki yaadgar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close