nazar ko tir kar ke raushni ko dekhne ka saliqa hai hamein bhi zindagi ko dekhne ka kisi jalte hue lamhe pe apne hont rakh do agar hai shauq jamid khamushi ko dekhne ka samaat mein khanakti raushni se ho gaya hai do-baala lutf mitti ki nami ko dekhne ka na jaane laut kar kab aaega mausam khajista teri aankhon ki shaista hansi ko dekhne ka suna hai shauq tha un ko hunar aata nahin tha sunahre zehn ki waraftagi ko dekhne ka yaqin aata nahin lekin mila tha ek mauqa shagufta shahr ki be-manzari ko dekhne ka bada arman tha 'sajid' tumhein kya dar gae kya shab-e-taban hawa ki khud-kushi ko dekhne ka