nazar mein sulh bhi sar par lahu bhi dekhta hai

nazar mein sulh bhi sar par lahu bhi dekhta hai
mujhe to rashk se mera adu bhi dekhta hai

main shorishon mein bhi dil ko qarib rakhta hun
yahi to hai jo pas-e-haw-hu bhi dekhta hai

charagh unhin ki wisatat se jal raha hai magar
kabhi hawaon ko ye tund-khu bhi dekhta hai

mujhe ye moti samundar yun hi nahin deta
wo mere hausle bhi justuju bhi dekhta hai

ye dil asir tere naqsh-e-pa ka hai lekin
jo chuk jae to phir chaar-su bhi dekhta hai

mere junun ko donon aziz hain jaanan
ye dasht-o-dar hi nahin aabju bhi dekhta hai

hazar barg-o-samar jama ho gae 'arshad'
magar ye dil ki maal-e-numu bhi dekhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close