nazar mila ke nazar se gira diya tum ne mujhe batao khudara ye kya kya tum ne mujhi pe war kiya aur mujhi ko bhul gae meri wafa ka ye achchha sila diya tum ne na apne tarz-e-sitam par nigah ki tum ne hamari baat ko itna badha diya tum ne tum aa ke kya mutabassim hue lahad par meri charagh-e-gor-e-ghariban jala diya tum ne hamein to hosh nahin tum ko ilm hoga zarur ki kis qusur pe dil se bhula diya tum ne kisi ke jaur ka 'tasnim' ye fasana hai ki jis ko nazm bana kar suna diya tum ne