nazar mili to nazaron mein banT di maine

nazar mili to nazaron mein bant di main ne
ye raushni bhi sitaron mein bant di main ne

bas ek sham bachi thi tumhaare hisse ki
magar wo sham bhi yaron mein bant di main ne

janab qarz chukaya hai yun anasir ka
ki zindagi inhi chaaron mein bant di main ne

pukarte the barabar mujhe safar ke liye
mata-e-khwab sawaron mein bant di main ne

hawa mizaj tha karta bhi kya samundar ka
ek ek lahr kinaron mein bant di main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close