nigah-e-shauq ko jab tera naqsh-e-pa na mila mujhe bhi husn-e-haqiqat ka aaina na mila jise bhi dekho wahi ajnabi sa lagta hai tumhaare shahr mein koi bhi aashna na mila hudud-e-dair-o-kalisa mein khanqahon mein bahut talash kiya hum ko parsa na mila tadapte rah gae din mein bhi raushni ke liye charagh bechne walon ko mashla na mila hamare dars pe ghairon ne pa liya sahil hamare apne safine ko nakhuda na mila sukun milega unhen kis ke aastane par wo ahl-e-dard jinhen tera aasra na mila mata-e-dil wo meri lutne chala tha magar ye aur baat ki rahzan ko hausla na mila meri wafaon pe ilzam to bahut aae meri wafaon ka mujh ko magar sila na mila wafa ke tazkire hum ne bahut sune 'khalid' magar jahan mein koi hum ko ba-wafa na mila