nigah-e-yar se hota hai wo KHumar mujhe

nigah-e-yar se hota hai wo khumar mujhe
ki rut khizan ki bhi lagne lage bahaar mujhe

fasil-e-ishq pe rakkha hua charagh hun main
hawa-e-hijr ka rahta hai intizar mujhe

judaiyan hain muqaddar to phir gale kaise
likhe hue pe tujhe hai na ikhtiyar mujhe

faqat zaban se na kah mujh ko zindagi apni
main zindagi hun tu achchhi tarah guzar mujhe

main aaina tha kabhi ab to sirf shisha hun
ye log dekhte rahte hain mere par mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close