nigah karne mein lagta hai kya zamana koi payambari na sahi dukh payambarana koi ik-adh bar to jaan warni hi padti hai mohabbaten hon to banta nahin bahana koi main tere daur mein zinda hun tu ye jaanta hai hadaf to main tha magar ban gaya nishana koi ab is qadar bhi yahan zulm ko panah na do ye ghar gira hi na de dast-e-ghaebana koi ujalta hun main nalain-e-pa-e-lakht-e-jigar ki madrase ko chala ilm ka khazana koi