nigahen jhuk gain aaya shabab aahista aahista pada aankhon pa palkon ka hijab aahista aahista sawali ban ke jab mushtaq nazren pad gain un par nigahon ne diya un ki jawab aahista aahista kabhi ashkon ke tufan mein kabhi mizhgan se daman mein lahu ka dil baha yun be-hisab aahista aahista isi ummid par to ji rahe hain hijr ke mare kabhi to rukh se utthegi naqab aahista aahista khayalon se rukh-e-zeba jo aksar dekh leta hai mita jata hai wo bhi kaif-e-khwab aahista aahista rukh-e-zeba pe lahren leti hain kuchh is tarah zulfen ki jaise chand par chhae sahab aahista aahista mata-e-zindagi samjha tha soz-e-gham ko main 'hashim' mita jaana hai wo bhi iztirab aahista aahista