nikhat-o-rang na mausam ki hawa Thahri hai

nikhat-o-rang na mausam ki hawa thahri hai
gul ki qismat mein ba-har-haal fana thahri hai

zakhm-e-dil khil uthe hanste hue phulon ki tarah
ek lamhe ko jahan baad-e-saba thahri hai

maut ko kahiye ilaj-e-gham-e-hasti lekin
zindagi kaun se jurmon ki saza thahri hai

aur mansur koi mashhad-e-hasti mein na tha
laeq-e-dar jo ek meri ana thahri hai

husn-e-mukhtar hai har baat rawa hai is ko
fitrat-e-ishq to paband-e-wafa thahri hai

koi naghma koi jhankar koi hosh-ruba
dil hi bahla len tabiat jo zara thahri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close