niyaz-agin hai aur naz-afrin bhi

niyaz-agin hai aur naz-afrin bhi
agar sajde mein jhuk jae jabin bhi

haq-agahi se uth jaenge parde
nazar ho nukta-ras bhi nukta-chin bhi

dilon mein chahiye wusat-nigahi
badal jati hai chashm-e-khashmagin bhi

haqaeq par jami hai gard-e-baatil
hai gum wahmon mein ehsas-e-yaqin bhi

salamat un ka daman be-khudi mein
liya hai hum ne kar-e-astin bhi

ujale hain mere qalb-o-nazar ke
ye mehr-e-zau-fishan mah-e-mubin bhi

ba-faiz-e-talkhi-e-haalat 'raunaq'
ibarat zahr se hai angbin bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close