niyyat ho agar nek to deta hai KHuda bhi

niyyat ho agar nek to deta hai khuda bhi
karte hain amal log to milta hai sila bhi

baatin ki hararat se phunke jate hain tan-man
purwai bhi chalti hai barasti hai ghata bhi

chhu kar nahin guzri hai teri zulf-e-muattar
is bar to mahrum chali aai saba bhi

ek tum ho ki bichhde to bichhad hi gae hum se
milte hain bahut log to hote hain juda bhi

aadab-e-mohabbat the ki daman nahin chhoda
tum dur na the dur na the band-e-qaba bhi

kis yas ke aalam mein hon kya jaaniye 'athar'
muddat hui aai nahin honton pe dua bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close