numayan aur bhi ruKH teri be-ruKHi mein rahe

numayan aur bhi rukh teri be-rukhi mein rahe
supurdagi ke bhi pahlu kashidgi mein rahe

nazar uthi to utha shor ek qayamat ka
na jaane kaise ye hangame khamushi mein rahe

hawa-e-shahr-e-gharibi ki kaifiyat thi ajib
nashe mein rah ke bhi hum apne aap hi mein rahe

pukarte rahe kya kya na dil ke virane
hum aise shahr mein uljhe the shahr hi mein rahe

hisar-e-wahshat-e-dil se nikal to aae magar
tamam-umr ajab sehr-e-agahi mein rahe

meri wafa ki haqiqat ghubar-e-dasht-e-talab
meri wafa ke fasane teri gali mein rahe

kabhi to pahunchegi manzil pe sar-bulandi-e-shauq
is aasare pe maqamat-e-bandagi mein rahe

unhin se ubhri hain kitne ghamon ki taswiren
wo sae jo meri aankhon ki raushni mein rahe

hamein mila tha sharaf kaenat par 'baqar'
hamein kali ki tera dil giraftagi mein rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close