numud-e-rang se begana-war aai hai

numud-e-rang se begana-war aai hai
khizan ka bhes badal kar bahaar aai hai
malul-o-muzmahil-o-be-qarar aai hai
koi batae ye kaisi bahaar aai hai
asir-e-khana-e-gulchin hain rang-o-bu ai dost
ye kis ke ahd mein aisi bahaar aai hai
suhag adh-khili kaliyon ka kis ne lut liya
bahaar kis liye yun sogwar aai hai
chaman fasurda gul aazurda ghunche pazhmurda
khizan bahaar pe hai ya bahaar aai hai
na barg-o-gul ki tamanna na rang-o-bu ki hawas
'sahab' mujh ko khizan saz-gar aai hai