paDa tha likhna mujhe KHud hi marsiya mera

pada tha likhna mujhe khud hi marsiya mera
ki mere baad bhala aur kaun tha mera

ajib taur ki mujh ko saza sunai gai
badan ke neze pe sar rakh diya gaya mera

yahi ki sans bhi lene na degi ab mujh ko
ziyaada aur bigadegi kya hawa mera

main apni ruh liye dar-ba-dar bhatakta raha
badan se dur mukammal wajud tha mera

mere safar ko to sadiyan guzar gain lekin
falak pe ab bhi hai qaem nishan-e-pa mera

bas ek bar mila tha mujhe kahin 'azar'
bana gaya wo mujhi ko mujassama mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close