pagal hawa ke dosh pe jins-e-giran na rakh

pagal hawa ke dosh pe jins-e-giran na rakh
is shahr-e-be-lihaz mein apni dukan na rakh

us ka diya hua hai jism us ke supurd kar
rakhne ki is hawas mein tu donon jahan na rakh

is ka zawal dekh ke wo saltanat na chhod
is zindagi mein lamha-e-sud-o-ziyan na rakh

wo fasl pak chuki thi ab us ka bhi kya qusur
tujh se kaha tha jeb mein chingariyan na rakh

wo jism hai to us ko faqat jism hi samajh
parda kisi fareb ka phir darmiyan na rakh

aaegi har taraf se hawa dastaken liye
uncha makan bana ke bahut khidkiyan na rakh

wo jism khul raha hai girah-dar-girah 'nazar'
ye tir chuk jaega dhili kaman na rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close