pahle hua jo karte the hum wo nahin rahe

pahle hua jo karte the hum wo nahin rahe
dekho shab-e-firaq hai aur ro nahin rahe

aisi bhi ro rahe hain unhen jo nahin rahe
pahle se moajize to kahin ho nahin rahe

yaro dikhao phir koi aisa hunar ki bas
ghairon ki koi fikr hi hum ko nahin rahe

ashaar se ayan hain to ashaar mat padho
hum dil ke dagh tum ko dikha to nahin rahe

tadbir bhi hai jaan bhi hai maslahat bhi hai
rahna na tha bas ek hamein so nahin rahe

hum ghair aur wo sabhi apni jagah pe hain
bas yun kaho miyan ki ghazal-go nahin rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close